Vafa-E-Vaada Nahin, Vaada-E-Digar Bhi Nahin
Faiz…
Vafa-e-vaada nahin, vaada-e-digar bhi nahin
Woh mujhse roothe tou the, lekin is qadar bhi nahin
Baras rahi hai hareem-e-hawas mein daulat-e-husn
Gadaa-e-ishq ke kaase mein ik nazar bhi nahin
Na jaane kis liye ummeedwaar baitha hoon
Ik aisii raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
Nigaah-e-shauq sar-e-bazm be-hijaab na ho
Woh be-khabar hi sahi, itne be-khabar bhi nahin
Ye ahd-e-tark-e-mohabbat kis liye aakhir
Sukoon-e-qalb idhar bhi nahin, udhar bhi nahin
0 Opinions:
Post a Comment