Qarz-E-Nigaah-E-Yaar Adaa Kar Chuke Hain Hum
Faiz…
Qarz-e-nigaah-e-yaar adaa kar chuke hain hum
Sab kuchch nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain hum
Kuchch imtihaan-e-dast-e-jafaa kar chuke hain hum
Kuchch unnki dastaras ka pataa kar chuke hain hum
Ab ehtiyaat ki koi surat nahin rahi
Qaatil se rasm-o-raah siwa kar chuke hain hum
Dekhe hai kaun kaun, zaroorat nahin rahi
Ku-e-sitam mein sabko khafaa kar chuke hain hum
Ab apna ekhtiyaar hai chaahe jahaan chalen
Rehbaar se apni raah juda kar chuke hain hum
Unnki nazar mein, kya karen, pheeka hai ab bhi rang
Jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain hum
Kuchch apne dil ki khu ka bhi shukrana chaahiye
Sau bar unnki khu ka gila kar chuke hain hum
0 Opinions:
Post a Comment