Tere Gham Ko Jaan Ki Talaash Thi Tere Jaan-Nisaar Chale Gaye
Faiz…
Tere gham ko jaan ki talaash thi tere jaan-nisaar chale gaye
Teri raah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gaye
Teri kaj-adaai se haar ke shab-e-intezaar chali gayi
Mere zabt-e-haal se rooth kar mere gham-gusaar chale gaye
Na savaal-e-vasl na arz-e-gham na hikaayaten na shikaayaten
Tere ahad mein dil-e-zaar ke sabhi ikhtiyar chale gaye
Ye hamin the jinn ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gayi
Yahi daag the jo sajaa ke hum sar-e-bazm-e-yaar chale gaye
Na rahaa junuun-e-rukh-e-vafaa ye rasan ye daar karoge kya
Jinhen jurm-e-ishq pe naaz tha vo gunahgaar chale gaye
0 Opinions:
Post a Comment