Ab Vahi Harf-E-Junuun Sab Ki Zubaan Thahari Hai
Faiz…
Ab vahi harf-e-junoon sab ki zubaan thahri hai
Jo bhi chal nikli hai vo baat kahaan thahri hai
Aaj tak shaikh ke ikaraam mein jo shai thi haraam
Ab vahi dushman-e-din raahat-e-jaan thahri hai
Hai khabar garm ke phirta hai gurezaan naaseh
Guftaguu aaj sar-e-kuu-e-butaan thahri hai
Hai vahi aariz-e-lailaa vahi shirian ka dahan
Nigaah-e-shauq ghadi bhar ko yahaan thahri hai
Vasl ki shab thi tou kis darjaa subak guzari hai
Hijr ki shab hai tou kya sakht giraan thahri hai
Bikhari ek baar tou haath aai kab mauj-e-shamim
Dil se nikli hai tou kab lab pe fugaan thahri hai
Dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gulchin bhi
Buu-e-gul thahari na bul-bul ki zabaan thahri hai
Aate-aate yuun hi dam bhar ko ruki hogi bahaar
Jaate-jaate yuun hi pal bhar ko khizaan thahri hai
Hum ne jo tarz-e-fugaan ki hai qafas mein ijaad
"Faiz" gulshan mein vahi tarz-e-bayaan thahri hai
0 Opinions:
Post a Comment