Waah Zindagi
Kissi Shaayar ne khoob kahaa hai. Khoob nahin, balki BAHUT khoob kahaa hai.
Pyaas lagi thi gazab ki, magar paani mein zehar tha,
Peete tou mar jaate, na peete tou bhi mar jaate.
Bas yahi do massle zindagi bhar na hal hue,
Na neend puri hui, na khwaab hi mukkamil hue.
Waqt ne kaha ‘kaash thoda aur sabr hota’,
Sabr ne kaha ‘kaash thoda aur waqt hota’.
Subah subah uthna padhta hai, zindagi – kamaane ke liye sahib,
Araam kamaane nikalta hoon araam chchodhkar.
Hunar sadakon par tamaasha karta hai,
Aur kismet mahlon mein raj karti hai.
Shikaayaten tou bahut hain tujhse, ae zindagi,
Par chup iss liye hoon ki jo diya tune woh bhi bahuton ko naseeb nahin hota.
Daulat ki bhookh aisi lagi ke kamaane nikal gaye,
Jab daulat mili tou haath se rishte nikal gaye.
Bachchon ke saath rehne ki fursat na mil saki,
Fursat mili tou bachche khud kamaane nikal gaye.
Waah zindagi.
0 Opinions:
Post a Comment